jhuuT hoñToñ pe bilā-ḳhauf-o-ḳhatar aayā hai
muddatoñ shahr meñ rah kar ye hunar aayā hai
sañg-bāzoñ ko ḳhudā jaane ḳhabar kaise huī
ek dīvāna sar-e-rāhguzar aayā hai
jab bhī Thahre hue paanī kī tarah marne lagā
kaam usī vaqt mirā azm-e-safar aayā hai
maiñ bhī choukas thā har ik vaar se pahle us ke
jis taraf se bhī vo aayā hai nazar aayā hai
shahr se lauT to aayā hai magar lagtā hai
terā 'ḳhālid' kisī tūfāñ se guzar aayā hai