Aslam Haneef

samne ek kitab adh-khuli aur main

Aslam Haneef

1956
sāmne ik kitāb adh-khulī aur maiñ
be-sabab sham.a jaltī huī aur maiñ
be-sadā ek naġhme ke haiñ muntazir
daf bajātī huī ḳhāmushī aur maiñ
vaqt kī kokh kā bar-mahal sāneha
ye jahāñ muztarib zindagī aur maiñ
kuchh parind āsmāñ se utarte hue
lutf-andoz jin se nadī aur maiñ
vaqt kī shāḳh par ḳhushnumā phuul the
vo galī husn kī sādgī aur maiñ
gardish-e-rañg-o-bū mish.aleñ aur tū
be-karāñ ik ḳhalā tīrgī aur maiñ
jism dhañsne lagā raat kī qabr meñ
phir vahī ḳhvāb kī āgahī aur maiñ
jism par reñg uThīñ be-badan chīTiyāñ
phir vahī dhuup sī chāñdnī aur maiñ
Top Urdushayar.com