Aslam Haneef

har ek kitab nujumi ghalat batata hai

Aslam Haneef

1956
har ik kitāb nujūmī ġhalat batātā hai
mirī hayāt kā jab zā.icha banātā hai
kisī havelī meñ jab vahshateñ panaptī haiñ
badan pe sabza-e-nau-rasta lahlahātā hai
hamārī niiñd meñ girdāb banñe lagte haiñ
udaas kamra ajab qahqahe lagātā hai
muhīb tiira guphā meñ badan hai sahmā huā
bas ek jugnū hai jo hausla baḌhātā hai
na jaane kitne na.e ḳhauf Dasne lagte haiñ
vo mujh se milne kā jab silsila baḌhātā hai
use harīf kaho vasl-rut ke naġhmoñ kā
daraḳht se jo parinde uḌaa.e jaatā hai
Top Urdushayar.com