Aslam Haneef

samne shah-e-waqt ke aslam kaun kahe ye baat

Aslam Haneef

1956
sāmne shāh-e-vaqt ke 'aslam' kaun kahe ye baat
chor na the fankār the ham phir kaaT liye kyuuñ haat
us kā sheva us kī fitrat rishtoñ kī tauhīn
nang-e-insāniyyat haiñ sab us ke ehsāsāt
kunDlī maare baiThā huā thā us kī zaat meñ khoT
aa kar vāpas ho jaatī thī rishtoñ kī sauġhāt
merī ḳhamoshī par taarī hai kaisā ālam-e-kashf
dasht-e-badan par hone lagī hai rañgoñ kī barsāt
jaise ye bhī paaT rahī hoñ shaḳhsiyyat kā jhol
rauzoñ kī dīvāroñ par yuuñ kanda haiñ āyāt
jaane kis āvāz kī ḳhushbū sūñgh rahe haiñ kaan
saare badan meñ Dol rahā hai ik kaif-e-lazzāt
Top Urdushayar.com