ġhalat batāte ho tum salaf kī shujā.ateñ sab
to aao dariyā meñ ġharq kar deñ hikāyateñ sab
ye sochtā huuñ maiñ paḌh rahā huuñ kitāb kaisī
dhuāñ dhuāñ haiñ laboñ ko chhūkar ibārateñ sab
nizām-e-insāf-o-adl par ye na jaane kaisā zavāl aayā
barahna ho kar sisak rahī haiñ sadāqateñ sab
jo fan ko bakvās kahne vaale sunā.īñ ġhazleñ
giro kahīñ jā ke tum bhī rakh do samā.ateñ sab
chalo ki ham bhī murāja.at ke bahāne DhūñDeñ
yaqīñ ko pāmāl kar chukī haiñ masāfateñ sab
bulandiyoñ ke safar kī mujh ko na daad dījiye
haiñ salb mere dimāġh-o-bāzū kī tāqateñ sab
jo lutf lenā hai mashq-navā.ī kī intihā kā
ubhāro ḳhud meñ mire qabīle kī ādateñ sab
ye kis ne un ko qalam kā apne hadaf banāyā
vaqār khone lagī haiñ 'aslam' alāmateñ sab