Aslam Haneef

KHun wirasat ka ragon mein faKHr ke qabil hua

Aslam Haneef

1956
ḳhuuñ virāsat kā ragoñ meñ faḳhr ke qābil huā
jab mire hī ḳhāk-dāñ se merā sar hāsil huā
har jazīra barf kā merī anā kī mumlikat
raah meñ phir koh-e-nā-mālūm kyuuñ haa.il huā
ret ke dariyā se qaa.em thī ummīd mo.ajiza
tishnagī meñ jo qadam aage baḌhā hāsil huā
saaya paanī meñ chalā jab mujh ko tanhā chhoḌ kar
merā manzar hī mire ehsās kā qātil huā
phir havā kī muTThiyoñ se ret barsī sahn meñ
phir bikharne kā nazar ko zā.iqa hāsil huā
tum anā ke zo.am meñ inkār-e-fan karte to ho
aur agar is ahd kā maiñ hī had-e-fāsil huā
Top Urdushayar.com