lavoñ ke jashn-e-zār meñ ḳhizāñ ko haal aa.egā
mire shajar ke saa.e par agar zavāl aa.egā
darūn-e-shahr-e-jehl agar jaleñgī haq kī mish.aleñ
to ḳhvāb-ḳhurda sā.ato tumheñ malāl aa.egā
judā judā rahā hai kyā faqīr raah niiñd meñ
ki zindagī ke bhaav par na ab uchhāl aa.egā
pa.e farār rishvateñ atā hoñ pāsbān ko
fasīl-e-shahr se pare yahī nikāl aa.egā
ḳhabar na thī ki zaat se karūñgā jab mukālima
to har javāb par koī nayā savāl aa.egā
dimāġh-o-dil se muflisho ye vāhima nikāl do
amīr-e-shahr nekiyāñ kueñ meñ Daal aa.egā
uruuj ke surūr meñ jo ġharq haiñ ye bastiyāñ
yahāñ zavāl aa.egā to be-misāl aa.egā