rafīq dost muhib mujh ko shaaq sab hī the
agarche kahne ko ye ham-mazāq sab hī the
maiñ imtihān kī copy ko saada chhoḌ aayā
dimāġh meñ to siyāq-o-sabāq sab hī the
tamām raat rahā dil meñ habs kā manzar
khule hue to dar-e-ishtiyāq sab hī the
usī mahal se thī vābasta shahr kī azmat
shikasta yuuñ to dar-o-bām-o-tāq sab hī the
hamārā gaañv fasādoñ kī zad se duur rahā
agarche log sharārat meñ taaq sab hī the