Aslam Haneef

jab haq dil-o-dimagh mein bharpur rach gaya

Aslam Haneef

1956
jab haq dil-o-dimāġh meñ bharpūr rach gayā
mere qadam jahāñ paḌe kohrām mach gayā
har baar us se quvvat-e-iz.hār chhin gayā
jab bhī maiñ us kī bazm meñ le kar pahuñch gayā
maiñ ne to apne dar pe likhāyā thā apnā naam
lekin koī paḌosī use bhī khurach gayā
dariyā kī tah chaTān kī zad ko bhī sah ga.ī
lekin ye kyā ki sat.h pe ik shor mach gayā
kal raat un ġharīboñ ko qai kyuuñ na aa sakī
khānā amīr-e-shahr kā kyuuñ un ko pach gayā
'aslam' karāmatoñ meñ karūñgā shumār agar
merā ḳhulūs tohmat-e-yārāñ se bach gayā
Top Urdushayar.com