jashn ham yuuñ bhī manā.eñ der tak
aaj kī shab ḳhud se uljheñ der tak
sāthiyoñ meñ jab farāsat hī nahīñ
ik pahelī kyā bujhā.eñ der tak
guftugū kā ik tarīqa ye bhī hai
aao ham ḳhāmosh baiTheñ der tak
ye tumhāre zulm kī tauhīn hai
shahr meñ chīḳheñ na gūñjeñ der tak
raat kī bāñheñ hameñ bhīñche rahīñ
aur phir ham ḳhud ko socheñ der tak
ham ḳhud apne ḳhvāb kī ta.abīr haiñ
aa.ina phir kyuuñ na dekheñ der tak
rāh-gīroñ ke liye phailī rahīñ
būḌhe bargad terī shāḳheñ der tak