havā ke dosh pe ye jo savār paanī hai
mirā yaqīn karo be-shumār paanī hai
ki pyaas bujh nahīñ paa.ī hai is se pyāsoñ kī
isī liye to bahut sharmsār paanī hai
bujhe kuchh aise nadī meñ charāġh bahte hue
havā.eñ hañsne lagīñ sogvār paanī hai
tū ek jhiil hai saif-ul-mulūk ke jaisī
meñ aisā thar ki jahāñ ār-pār paanī hai
maiñ dekh haath meñ mashkīza le ke aayā huuñ
ki ek pyāse ko ye regzār paanī hai