chāñd tanhā hai kahkashāñ tanhā
hijr kī raat āsmāñ tanhā
bhāgtī rail shor sannāTā
rah ga.ī be-sadā zabāñ tanhā
rañg aur nuur se rahe mahrūm
ham faqīroñ ke āstāñ tanhā
kaisī nafrat kī aag phailī hai
jal rahā hai mirā makāñ tanhā
āñdhiyāñ bijliyāñ shajar kamzor
bach na pā.egā āshiyāñ tanhā
thak ke sab so ga.e haiñ mahfil meñ
ḳhud hī suntā huuñ dāstāñ tanhā
koī jaadū na rāhbar koī
ab kahāñ jaa.e kārvāñ tanhā
paas gar tū nahīñ to kyā ġham hai
saath apne hai ik jahāñ tanhā