kahne ko yahāñ jiine kā sāmān bahut hai
ik tū jo nahīñ zindagī vīrān bahut hai
miltā hai sar-e-rāh to katrātā hai mujh se
ab apne kiye pe vo pashemān bahut hai
chehre ke ta.assur se to lagtā hai ki ḳhush hai
gar ruuh meñ jhāñko to pareshān bahut hai
pheñk aayā thā vo mujh ko kisī andhī guphā meñ
manzil pe mujhe pā ke vo hairān bahut hai
siitā hai agar tū tujhe paanā nahīñ mushkil
tere liye bas raam kā ik baan bahut hai
ik harf-e-mohabbat hī asāsa hai 'zafar' kā
arzāñ jo zamāne meñ mirī jaan bahut hai