munāf.a mushtarak hai aur ḳhasāre ek jaise haiñ
ki ham donoñ kī qismat ke sitāre ek jaise haiñ
maiñ ik chhoTā sā afsar huuñ vo ik moTā sā ''mil-owner''
magar donoñ ke income goshvāre ek jaise haiñ
ise zo.af-e-basīrat use zo.af-e-basārat hai
hamāre dīda-var saare ke saare ek jaise haiñ
mutton aur daal kī qīmat barābar ho ga.ī jab se
yaqīñ aayā ki donoñ meñ ''harāre'' ek jaise haiñ
jahāñ bhar ke siyāsī dañgloñ meñ ham ne dekhā hai
''anūkī'' ik se ik ūñchā hai ''jhāre'' ek jaise haiñ
vo thāna ho shifā-ḳhāna ho yā phir Dāk-ḳhāna ho
rifāh-e-ām ke saare idāre ek jaise haiñ
surūr-e-jāñ-fazā detī hai āġhosh-e-vatan sab ko
ki jaise bhī hoñ bachche maañ ko pyāre ek jaise haiñ
balā kā farq hai london kī gorī aur kaalī meñ
magar donoñ kī āñkhoñ meñ ishāre ek jaise haiñ
har ik begam agarche munfarid hai apnī saj-dhaj meñ
magar jitne bhī shauhar haiñ bichāre ek jaise haiñ
koī ḳhush-zauq hī 'shāhid' ye nukta jaan saktā hai
ki mere sher aur naḳhre tumhāre ek jaise haiñ
gumāñ hotā hai 'shāhid' radio par sun ke mausīqī
ki pakke raag aur namkīñ ġharāre ek jaise haiñ