aise lage hai naukrī māl-e-harām ke baġhair
jaise ho 'dāġh' kī ġhazal baada o jaam ke baġhair
ho na samāj biich meñ ishq ho yuuñ speed meñ
laarī chale break-bin ghoḌā lagām ke baġhair
pyaar kī saarī guftugū ab vo kare hai phone par
aur phire hai nāma-bar naam o payām ke baġhair
biivī kī ek chup se hai ghar kī fazā bujhī bujhī
jaise koī mushā.era mere kalām ke baġhair
'shāhid' hamārā sher hai oḌhe huī shaguftagī
varna hai teġh-e-be-amāñ vo bhī niyām ke baġhair