qābiz rahā hai dil pe jo sultān kī tarah
āḳhir nikal gayā shah-e-īrān kī tarah
zāhir meñ sard o zard hai kāġhān kī tarah
lekin mizāj us kā hai multān kī tarah
rāz-o-niyāz meñ bhī akaḌ-fūñ nahīñ ga.ī
vo ḳhat bhī likh rahā hai to chālān kī tarah
luqma halāl kā jo milā ahl-kār ko
us ne chabā ke thuuk diyā paan kī tarah
zikr us parī-jamāl kā jab aur jahāñ chhiḌā
fauran raqīb aa gayā shaitān kī tarah
ik lamha us kī diid huī bas kī bhiiḌ meñ
aur phir vo kho gayā mire ausān kī tarah
maiñ mubtalā-e-qarz rahā chaar saal tak
vo sirf chaar din rahā mehmān kī tarah
har baat ke javāb meñ fauran nahīñ nahīñ
niklā zabān-e-yār se gardān kī tarah
'shāhid' se kah rahe ho ki roze rakhā kare
har maah jis kā guzrā hai ramzān kī tarah