Tauseef Tabassum

kitne hi tir KHam-e-dast-o-kaman mein honge

Tauseef Tabassum

Badayun, Uttar pradesh, India

1928
kitne hī tiir ḳham-e-dast-o-kamāñ meñ hoñge
jin ke sofār abhī se mirī jaañ meñ hoñge
dil hai ab ḳhāna-e-āseb-zada kī sūrat
zaḳhm rauzan isī tārīk makāñ meñ hoñge
ek ham hī nahīñ sar meñ liye saudā-e-vafā
aur bhī kitne mohabbat ke gumāñ meñ hoñge
sirf tere lab-o-ruḳh kī nahīñ tasvīr-e-chaman
mere bhī ġham ke ka.ī rañg ḳhizāñ meñ hoñge
laḌkhaḌātā huā aayā hai mizha tak aañsū
rāste kaise dil-e-dard-nishāñ meñ hoñge
bar-mahal hai tah-e-ashjār havā kā nauha
kal ke ġhunche bhī isī dasht-e-ziyāñ meñ hoñge
hai ḳhad-o-ḳhāl kā ambār yahāñ har chehra
ham vo hoñge jo na ḳhud apne gumāñ meñ hoñge
Top Urdushayar.com