tum achchhe the tum ko rusvā ham ne kiyā
phir kahnā, kyā tum ne kahā, kyā ham ne kiyā
aañsū saare palkoñ hī meñ jazb hue
dariyā ko tasvīr-e-dariyā ham ne kiyā
ai mere dil tanhā dil chup chup rahnā
pahle bhī to shor kiyā, kyā ham ne kiyā
naqsh-garo! kab ham ne manzar badlā hai
chāñdī baal aur chehra sonā ham ne kiyā
aañsū ne dil kā har daaġh miTā Daalā
paanī se phir naqsh huvaidā ham ne kiyā
ḳhaak jo sahrā sahrā uḌtī phirtī thī
sar meñ Dālī, ek tamāshā ham ne kiyā
ba.ad apne ab kaun bhalā yaañ aa.egā
apne naam pe ḳhatm ye ḳhutba ham ne kiyā