aa.ina miltā to shāyad nazar aate ḳhud ko
ab vo hairat hai ki pahroñ nahīñ paate ḳhud ko
āshnā log jo anjām-e-safar se hote
sūrat-e-naqsh-e-qadam aap miTāte ḳhud ko
ek duniyā ko giraftār-e-ġham-e-jāñ dekhā
yuuñ na hotā to tamāshā nazar aate ḳhud ko
ā.ina-rañg kā sailāb hai pāyāb bahut
aañkh miltī to ye manzar bhī dikhāte ḳhud ko
ab ye dekho ki hamīñ raah hamīñ manzil haiñ
umr-bhar dekh chuke Thokareñ khāte ḳhud ko
āsmāñ shab ko khule dasht hā jhuk aatā hai
ḳhushbū uḌtī hai ki sahrā haiñ bulāte ḳhud ko
kyā ajab koī kiran ham-safar-e-ḳhvāb mile
tā-sahar le ke chaleñ niiñd ke maate ḳhud ko