Tauseef Tabassum

dil ki baat na mani hoti ishq kiya kyun piri mein

Tauseef Tabassum

Badayun, Uttar pradesh, India

1928
dil kī baat na maanī hotī ishq kiyā kyuuñ piirī meñ
apnī marzī bhī shāmil hai apnī be-tauqīrī meñ
dard uThā to reza dil kā gosha-e-lab par aan jamā
ḳhush haiñ koī naqsh to ubhrā baare be-tasvīrī meñ
qaid meñ gul jo yaad aayā to phuul sā dāman chaak kiyā
aur lahū phir ro.e goyā bhūle nahīñ asīrī meñ
jaane vaale chale ga.e par lamha lamha un kī yaad
dukh-mele meñ uñglī thāme saath chalī dil-gīrī meñ
tauq gale kā paañv kī beḌī āhan-gar ne kaaT diye
apne aap se bāhar nikle zor kahāñ zanjīrī meñ
shukr hai jitnī umr guzārī nān-o-namak kī fikr na thī
haath kā takiya ḳhaak kā bistar hāsil rahe faqīrī meñ
Top Urdushayar.com