vo avvalīñ dard kī gavāhī sajī huī bazm-e-ḳhvāb jaise
vo chashm-e-surma kalām kartī vo saare chehre kitāb jaise
vo aañkh sāya-fagan hai dil par jo be-ḳhudī kā hai isti.āra
ghulī huī nīlgūñ samundar meñ tal.at-e-māhtāb jaise
bas ek dhamāka ki raat kī sarhadoñ kā kuchh to surāġh paa.eñ
bas ek chiñgārī chāhtā ho fatīla-e-āftāb jaise
vo jis kī pādāsh meñ sahar-zād apnī āñkheñ gañvā chuke haiñ
ik aur ta.abīr chāhte huuñ vo avvalīñ shab ke ḳhvāb jaise
vo mauj-e-sarkash jo sāhiloñ ko Dubo ga.ī kaise TūTtī hai
is ek manzar ke dekhne ko khulī ho chashm-e-habāb jaise
mirī mizha se Tapaktā aañsū ho jaise har Dūbtā sitāra
likhā gayā ho mirī hī palkoñ pe rat-jagoñ kā hisāb jaise
lahū jo rizq-e-zamīñ huā hai vo bārishoñ meñ dhulā nahīñ hai
tamām ā.inda mausamoñ ke ho naam ye intisāb jaise