Tauseef Tabassum

wahima hoga yahan koi na aaya hoga

Tauseef Tabassum

Badayun, Uttar pradesh, India

1928
vāhima hogā yahāñ koī na aayā hogā
mere saaya hī mire jism se lipTā hogā
chāñd kī tarf nigāhoñ meñ liye ḳhvāb-e-tarab
aur ik umr abhī ḳhaak pe sonā hogā
ashk aa.e haiñ to ye sair-e-charāġhāñ bhī sahī
is se aage to vahī ḳhuun kā dariyā hogā
gar kabhī TuuTī badaltī huī rut kī zanjīr
ek ik phuul yahāñ ḳhud ko tarastā hogā
ham to vābasta rahe tujh se ki hai ḳhū-e-vafā
tū ne kyā soch ke ai ġham hameñ chāhā hogā
shauq-e-ta.amīr basā.egā ḳharābe kyā kyā
aadmī hai to har ik shahar meñ sahrā hogā
saa.e mahke hue goshoñ meñ simaT jā.eñge
chāñd niklegā to ye shahr akelā hogā
yaad ā.eñgī bahut niiñd se bojhal palkeñ
shaam ke saath ye dukh aur ghanerā hogā
us ko āñkhoñ meñ chhupāoge batāo kab tak
kyā karoge jo vahī dekhne vaalā hogā
Top Urdushayar.com