Tauseef Tabassum

tha pas-e-mizhgan-tar ek hashr barpa aur bhi

Tauseef Tabassum

Badayun, Uttar pradesh, India

1928
thā pas-e-mizhgān-tar ik hashr barpā aur bhī
maiñ agar ye jāntā shāyad to rotā aur bhī
paañv kī zanjīr girdāb-e-balā hotī agar
Dūbte to sat.h par ik naqsh bantā aur bhī
āñdhiyoñ ne kar diye saare shajar be-barg-o-bār
varna jab patte khaḌakte dil laraztā aur bhī
rauzan-e-dar se havā kī siskiyāñ sunte raho
ye na dekho hai koī yaañ ābla-pā aur bhī
har taraf āvāz ke TuuTe hue girdāb haiñ
raushnī kam hai magar chaltā hai dariyā aur bhī
sirf tū hotā to terā vasl kuchh mushkil na thā
kyā kareñ tere sivā kuchh ham ne chāhā aur bhī
aarzū shab kī masāfat hai to tanhā kāTiye
din ke mahshar meñ to ho jā.eñge tanhā aur bhī
Top Urdushayar.com