ik tiir nahīñ kyā tirī mizhgāñ kī safoñ meñ
bah jaa.eñ lahū ban ke ye hasrat hai diloñ meñ
dariyā ho to maujoñ meñ khule is kā sarāpā
pāgal hai havā chīḳhtī phirtī hai banoñ meñ
teshe kī sadā merī hī fariyād thī goyā
merī hī tarah thā koī patthar kī siloñ meñ
yuuñ aaj phir ik hasrat-e-nākām pe ro.e
jaise na the pahle kabhī āzurda-diloñ meñ
ab sub.h se tā-shām hai sadiyoñ kī masāfat
har lamha-e-be-qaid hai zanjīr dinoñ meñ
rastoñ pe umaDtā huā phūloñ kā samundar
hairān huuñ kis tarah samāyā hai gharoñ meñ
kheñchā thā junūñ ne jise dāmān-e-havā par
dekhā to vahī shakl hai miTTī kī tahoñ meñ
kyā Thereñ qadam dasht-e-navardān-e-vafā ke
kāñTā to nahīñ paañv meñ saudā hai saroñ meñ
tausīf vo yādoñ kā dhuāñ hai ki sar-e-bazm
chehre nazar aate haiñ charāġhoñ kī lavoñ meñ