Tauseef Tabassum

suno kawi tausif tabassum is dukh se kya paoge

Tauseef Tabassum

Badayun, Uttar pradesh, India

1928
suno kavī tausīf tabassum is dukh se kyā pāoge
sapne likhte likhte āḳhir ḳhud sapnā ho jāoge
jaltī āñkhoñ jvālā phūTe ḳhushbū ghul kar rañg bane
dukh ke lākhoñ chehre haiñ kis kis se aañkh milāoge
har khiḌkī meñ phuul khile haiñ piile piile chehroñ ke
kaisī sarsoñ phūlī hai kyā aise meñ ghar jāoge
itne rañgoñ meñ kyuuñ tum ko ek rañg man bhāyā hai
bhed ye apne jī kā kaise auroñ ko samjhāoge
ab to sahar hone ko aa.ī ab to ghar ko lauT chalo
chāñd ke pīchhe pīchhe jitnā bhāgoge gahnāoge
dil kī baazī haar ke ro.e ho to ye bhī sun rakkho
aur abhī tum pyaar karoge aur abhī pachhtāoge
Top Urdushayar.com