gard-ālūd darīda chehra yuuñ hai maah o saal ke ba.ad
jaise falak bārish se pahle jaise zamīñ bhauñchāl ke ba.ad
murda logoñ kī bastī meñ suntā huuñ āvāzeñ sī
jaise maqtal kā sannāTā bole aam qitāl ke ba.ad
hijr to pahle bhī aayā thā lekin ab vahshat hai aur
chaltī havā se laḌte haiñ ham ek parī-timsāl ke ba.ad
bhar jā.eñgī jis dam shāḳheñ sabz mahakte pattoñ se
jogī aate jaate mausam lauTeñge phir saal ke ba.ad
raat badan yuuñ lau dete the jaise sandal jaltā ho
lekin dil-e-dīvāna chāhe aur bhī kuchh ho visāl ke ba.ad
gar socheñ to hijr-zadoñ ne yuuñ bhī paa.ī umr baḌī
uTThe dil meñ dard se pahle baiThe gard malāl ke ba.ad
kaun se dukh ko palle bāñdheñ kis ġham ko tahrīr kareñ
yaañ to dard sivā hotā hai aur bhī arz-e-hāl ke ba.ad