Tauseef Tabassum

baja ki darpai-e-azar chashm-e-tar hai bahut

Tauseef Tabassum

Badayun, Uttar pradesh, India

1928
bajā ki darpai-e-āzār chashm-e-tar hai bahut
palaT ke ā.ūñgā maiñ garche ye safar hai bahut
Thahar sako to Thahar jaao mere pahlū meñ
vo dhuup hai ki yahī sāya-e-shajar hai bahut
darīda bāheñ ḳhizāñ meñ pukārtī haiñ chalo
havā-e-tund meñ har shāḳh be-sipar hai bahut
kahūñ to vo mirī rūdād-e-dard bhī na sune
ki jaise us ko mire haal kī ḳhabar hai bahut
kalī ḳhumār ke aalam meñ kasmasātī hai
khulī hai aañkh magar niiñd kā asar hai bahut
mirā qadam hī nahīñ hijr meñ bagūla-sifat
bichhaḌ ke mujh se tirā ġham bhī dar-ba-dar hai bahut
haiñ muntazir ki ye dariyā-e-dard kab utre
haiñ ḳhush ki dil kā safīna to mauj par hai bahut
na ḳhalvat-e-ġham-e-duniyā na bazm-e-jāñ 'tausīf'
tumhāre vāste ik bekasī kā ghar hai bahut
Top Urdushayar.com