Tauseef Tabassum

dil tha pahlu mein to kahte the tamanna kya hai

Tauseef Tabassum

Badayun, Uttar pradesh, India

1928
dil thā pahlū meñ to kahte the tamannā kyā hai
ab vo āñkhoñ meñ talātum hai ki dariyā kyā hai
shauq kahtā hai ki har jism ko sajda kiije
aañkh kahtī hai ki tū ne abhī dekhā kyā hai
TuuT kar shāḳh se ik barg-e-ḳhizāñ-āmāda
sochtā hai ki guzartā huā jhoñkā kyā hai
kyā ye sach hai ki ḳhizāñ meñ bhī chaman khilte haiñ
mere dāman meñ lahū hai to mahaktā kyā hai
dil pe qaabū ho to ham bhī sar-e-mahfil dekheñ
vo ḳham-e-zulf hai kyā sūrat-e-zebā kyā hai
Thahro aur ek nazar vaqt kī tahrīr paḌho
reg-e-sāhil pe ram-e-mauj ne likhā kyā hai
koī rahbar hai na rasta hai na manzil 'tausīf'
ham ki gard-e-rah-e-sar-sar haiñ hamārā kyā hai
Top Urdushayar.com