ajiib rañg the dil meñ jo āñsuoñ meñ na the
pas-e-mizha the vo chehre ki chilmanoñ meñ na the
jo ro chuke to yahī bolte dar-o-dīvār
hue ḳhamosh ki jaise kabhī gharoñ meñ na the
hamārī vaz.a ne pābandiyāñ qubūl na kiiñ
misāl-e-nashsha the ham aur sāġharoñ meñ na the
chale to apnī hī raftār se ulajh ke gire
havā kī tarah muqayyad jo fāsloñ meñ na the
chaman meñ rah ke vo kāñTe chubho liye ham ne
ki itne rañg to shāyad yahāñ guloñ meñ na the
fanā kā ḳhauf thā mahmez chalne vāloñ kā
ye hausle kabhī TuuTe hue paroñ meñ na the
baḌā aziim musavvir thā Dūbtā sūraj
shafaq ke rañg magar bujhte rauzanoñ meñ na the