Tauseef Tabassum

kya bataun ki hai kis zulf ka sauda mujhko

Tauseef Tabassum

Badayun, Uttar pradesh, India

1928
kyā batā.ūñ ki hai kis zulf kā saudā mujh ko
dūd-e-har-sham.a garebāñ nazar aayā mujh ko
chāñd jo ubhrā shab-e-ġham mire dil meñ Duubā
bhīgtī raat ne kuchh aur jalāyā mujh ko
haa.e kyā kyā mujhe betāb rakhā hai us ne
yaad karne pe bhī jo yaad na aayā mujh ko
ab to sāñsoñ ke tamavvuj se bhī jī Dartā hai
zindagī tū ne ye kis ghaaT utārā mujh ko
the mirī pusht pe aqdār ke Dhalte sūraj
ban gayā rāh-numā apnā hī saayā mujh ko
raah be-samt hai uftād hai manzil apnī
ḳhāk-e-sahrā huuñ uḌātā hai bagūlā mujh ko
pahle dīvār uThā.ī thī ki ḳhud ko dekhūñ
ab yahāñ koī nahīñ dekhne vaalā mujh ko
le uḌī mujh ko mire zehn kī ḳhushbū tausīf
tū ne kyā soch ke zanjīr kiyā thā mujh ko
Top Urdushayar.com