merī sūrat sāya-e-dīvār-o-dar meñ kaun hai
ai junūñ mere sivā ye mere ghar meñ kaun hai
Thiik hai ai zabt-e-ġham! aañsū koī Tapkā nahīñ
par ye dil se aañkh tak paiham safar meñ kaun hai
vo to kab kā apnī manzil par pahuñch kar so chukā
chāñd kyā jaane ki rāh-e-pur-ḳhatar meñ kaun hai
maiñ to us sūrat kā dīvāna huuñ par ai zindagī!
sūrat-e-yak-umr haa.il sañg o sar meñ kaun hai
ḳhaak chhanvātī hai ye rātoñ ko kis kī justujū
chāñdnī kī tarah phailā dasht o dar meñ kaun hai
ek chehra mustaqil ashkoñ ke ā.īne meñ hai
kuchh batā ai umr-e-ġham āḳhir nazar meñ kaun hai
paañv meñ lipTī huī hai sab ke zanjīr-e-anā
sab musāfir haiñ yahāñ lekin safar meñ kaun hai
naġhma-e-jāñ sunñe vaalo ye takalluf tā-ba-kai
Dhā ke ye dīvār bhī dekho ki ghar meñ kaun hai