imtiyaz Khan

nashe mein ye kya samajh liya tha

imtiyaz Khan

Mewat, Haryana, India

1989
nashe meñ ye kyā samajh liyā thā
ḳhudā ko banda samajh liyā thā
zarā sī chup thī usī ko tum ne
na jaane kyā kyā samajh liyā thā
hasīñ thā vo is qadar ki ham ne
nazar kā dhokā samajh liyā thā
maiñ aisā pāgal diyā thā jis ne
havā ko apnā samajh liyā thā
ham us ke dil tak pahuñchte kaise
badan ko rāsta samajh liyā thā
use yuuñ chhoḌā ki us ne ham ko
bahut ziyāda samajh liyā thā
ham apnī ġhalatī se bik ga.e haiñ
tumheñ zuleḳhā samajh liyā thā
hamārī sāda-dilī to dekho
ḳhudā ko apnā samajh liyā thā
milan judā.ī taḌap udāsī
ye khel saarā samajh liyā thā
tumhārī āñkheñ samajh na paa.e
har ik muamma samajh liyā thā
lab us ne khole nahīñ the phir bhī
javāb us kā samajh liyā thā
vo āñkheñ ka.aba sifat thī jin ko
sharāb-ḳhāna samajh liyā thā
Top Urdushayar.com