ek tasvīr āñkhoñ meñ aatī huī ek jaatī huī
phir vahī shaam hai phir vahī yaad hai dil dukhātī huī
shab ke dariyā meñ uThtī hai ik mauj-e-māzī balā-ḳhez kyuuñ
lauT jaatī hai kyuuñ sāhil-hāl se sab miTātī huī
aur kyā hone vaalā hai ab jo abhī tak nahīñ ho sakā
sun rahā huuñ kahīñ duur se phir sadā kun kī aatī huī
vaqt to kuchh lagegā par āḳhir ye kohsār kaT jā.egā
dard kī ik nadī mere siine se rāsta banātī huī
ek gul thā kahīñ par akelā udāsī meñ Duubā huā
ek titlī ḳhayāloñ meñ aatī huī muskurātī huī
dil samundar meñ Duube hue saare lafzoñ kī lāsheñ liye
kashtiyoñ āñso.oñ kī chalī aatī haiñ Dagmagātī huī
titliyāñ mere kamre meñ uḌtī huī jharnā bahātā huā
ik parī-zād apne vatan kī kahānī sunātī hoī