dil-e-shikasta kī nīm-jāñ ḳhvāhishoñ ko jiinā sikhā rahī hai
nigāh-e-afsūñ-bayān us kī butoñ se sajda karā rahī hai
ye phuul ḳhushbū ye chāñd-tāre ye girtī būñdeñ ye abr-pāre
sab us kī aamad ke muntazir haiñ vo ḳhud ko sabse chhupā rahī hai
jo reg-e-dil pe likhā hai us ko dukhoñ kā paanī miTā na Daale
maiñ ḳhvāb dekhe hī jā rahā huuñ ye aañkh barse hī jā rahī hai
kabhī ḳhamoshī kabhī tabassum kabhī ḳhayāloñ kī dhuñd meñ gum
mirī udāsī to har qadam par qabā badaltī hī jā rahī hai
vo ḳhush-bayāñ 'imtiyāz' vo lafz lafz jaadū chalāne vaalā
vo kal milā thā to kah rahā thā ḳhamoshī andar se khā rahī hai