imtiyaz Khan

teri fuzul bandagi bana na de KHuda mujhe

imtiyaz Khan

Mewat, Haryana, India

1989
tirī fuzūl bandagī banā na de ḳhudā mujhe
maiñ kyā huuñ aur tū samajh rahā hai jaane kyā mujhe
na tū nazar meñ hai kahīñ na dasht hai na shahr hai
ye kis ḳhalā meñ khīñch laa.e tere naqsh-e-pā mujhe
tū apnā kaam kar guzar mujhe koī gila nahīñ
jo vaqt ne banā diyā havā tujhe diyā mujhe
tujhe hī sochte hue phir aaj so gayā huuñ maiñ
guzar tirā ho ḳhvāb se to niiñd se jagā mujhe
vahāñ se dekhtī hai kyā havā-e-dast-e-māriyā
zarā mire qarīb aa maiñ ḳhaak huuñ uḌā mujhe
maiñ jānte hue bhī sab ḳharīdtā chalā gayā
vo ashk bechtā rahā batā ke qahqaha mujhe
mile tamām log zindagī kī dhūp-chhāñv meñ
bas ek 'imtiyāz' hī kahīñ nahīñ milā mujhe
Top Urdushayar.com