hijr meñ āñkheñ aañsū ban kar bah jaatī haiñ sochā na.iiñ
vo bhī us din ġhusse meñ thā aur maiñ ne bhī rokā na.iiñ
kitnā mushkil hai ye kahnā maiñ terā ho saktā na.iiñ
phir bhī maiñ tujh ko ye dukh to de saktā huuñ dhoka na.iiñ
ek jagah par Thahrī āñkheñ gahrī socheñ ḳhāmoshī
kab tak ḳhud pe zulm karoge is ko vāpas aanā na.iiñ
is se bichhaḌ kar soch rahā huuñ us ko bhulāne kī tarkīb
log sharāb piyā karte haiñ maiñ cigarette tak piitā na.iiñ
shikve mujh ko bhī hote haiñ merā dil bhī dukhtā hai
apne andar ghuT jaatā huuñ merī jaan maiñ kahtā na.iiñ
kis darja nuqsān uThāyā hai ham ishq faqīroñ ne
jitnā tujh ko kho baiThe haiñ utnā tujh ko paayā na.iiñ
ye pariyoñ se chehre jin par jaan chhiḌakte haiñ ham log
mujh ko in peḌoñ ke nīche dhuup milī hai saaya na.iiñ
kitnī ummīdeñ hotī haiñ un ko ik haañ sunñe kī
lekin aksar pūchhne vāloñ ke hisse meñ aayā na.iiñ