kākul-o-chashm-o-lab-o-ruḳhsār kī bāteñ karo
zulmat-e-daurāñ meñ husn-e-yār kī bāteñ karo
kaun kyuuñ le kar chalā aatā hai un kā qāfila
āñso.oñ ke qāfila-e-sālār kī bāteñ karo
koī chāhe yā na chāhe ye safar hai nā-guzīr
kārvān-e-vaqt kī raftār kī bāteñ karo
ḳhanjaro kuchh to sar-e-maqtal pe ho.e tabsira
āriyo kaaTe ga.e ashjār kī bāteñ karo
kyā nahīñ mumkin ki ho hālāt pahle kī tarah
kyā zarūrī hai ki tum pindār kī bāteñ karo
vā.izo ab ke sharāb-e-ishq par taqrīr ho
mai-kashoñ allāh ke dīdār kī bāteñ karo
be-qarārī kā sabab banñe lagī dānishvarī
ab sukūñ darkār hai be-kār kī bāteñ karo