jo un meñ ho rahā hai vo tamāshā bhī nahīñ dikhtā
huā kyā hai un āñkhoñ ko jo itnā bhī nahīñ dikhtā
tire parda-nashīñ hone meñ to hairat hī kyā lekin
tū jis parde meñ pinhāñ hai vo parda bhī nahīñ dikhtā
ye kaise ālam-e-tīra-shabī meñ aa gayā huuñ maiñ
yahāñ to koī jugnū se shanāsā bhī nahīñ dikhtā
ḳhudā ko dekh kar mānūñ ye zid bhī ḳhuub hai lekin
in āñkhoñ ko zarūrat se ziyāda bhī nahīñ dikhtā