imtiyaz Khan

yunhi aksar mujhe samjha bujha kar lauT jati hai

imtiyaz Khan

Mewat, Haryana, India

1989
yūñhī aksar mujhe samjhā bujhā kar lauT jaatī hai
kisī kī yaad mere paas aa kar lauT jaatī hai
maiñ bad-qismat vo gulshan huuñ ḳhizāñ jis kā muqaddar hai
bahār aatī hai darvāze se aa kar lauT jaatī hai
use apnā banāne meñ bhī ik anjān sā Dar hai
duā hoñToñ talak aatī hai aa kar lauT jaatī hai
maiñ apnī qaid ko hī apnī āzādī samajh lūñgā
rihā.ī mujh ko zanjīreñ lagā kar lauT jaatī hai
agar itnī hī sarkash hai to mujh pe kyuuñ nahīñ girtī
vahī bijlī jo merā ghar jalā kar lauT jaatī hai
vahāñ par bhī charāġh-e-ārzū ham ne jalā.e haiñ
jahāñ se raushnī bhī sar jhukā kar lauT jaatī hai
use maiñ dekh to letā huuñ lekin chhū nahīñ paatā
koī shai hai jo mere paas aa kar lauT jaatī hai
Top Urdushayar.com