imtiyaz Khan

tu nahin hoga magar ye silsila rah jaega

imtiyaz Khan

Mewat, Haryana, India

1989
tū nahīñ hogā magar ye silsilā rah jā.egā
tere hone kā tasavvur jā-ba-jā rah jā.egā
qurbatoñ kī raah se ho kar guzar jā.eñge ham
manziloñ par darmiyāñ bas fāsla rah jā.egā
kis ne sochā thā ki ye itnā hasīñ ik vāqi.a
ek din siine meñ ban kar hādsa rah jā.egā
rāh-e-dil ko rauñd kar aage nikal jā.eñge log
aañkh meñ uThtā ġhubār-e-qāfila rah jā.egā
maiñ kahīñ kho jā.ūñgā le kar nigāh-e-shuq-e-dīd
tū charāġh-e-husn le kar DhūñDhtā rah jā.egā
kyā yūñhī ḳhāmosh duniyā se guzar jā.eñge ham
kyā jo kahnā hai vo sab kuchh an-kahā rah jā.egā
jab kahīñ kuchh bhī nahīñ thā bas ḳhudā thā aur phir
jab kahīñ kuchh bhī na hogā bas ḳhudā rah jā.egā
Top Urdushayar.com