imtiyaz Khan

wo tabassum tha jahan shayad wahin par rah gaya

imtiyaz Khan

Mewat, Haryana, India

1989
vo tabassum thā jahāñ shāyad vahīñ par rah gayā
merī āñkhoñ kā har ik manzar kahīñ par rah gayā
maiñ to ho kar aa gayā āzād us kī qaid se
dil magar is jald-bāzī meñ vahīñ par rah gayā
kaun sajdoñ meñ nihāñ hai jo mujhe dikhtā nahīñ
kis ke bose kā nishāñ merī jabīñ par rah gayā
ham ko aksar ye ḳhayāl aatā hai us ko dekh kar
ye sitāra kaise ġhalatī se zamīñ par rah gayā
ham laboñ ko khol hī kab paa.e us ke sāmne
ik nayā ilzām phir dekho hamīñ par rah gayā
Top Urdushayar.com