pas-e-gardūñ kisī ne naam bolā thā hamārā
badan kī qaid se haa.e rihā honā hamārā
yuuñ ḳhud ko chhoḌ kar nikle kisī kī justujū meñ
hamīñ ne umr-bhar phir rāsta dekhā hamārā
kisī kā aks ham par rah gayā yā aa.ine par
ki apne-āp se chehra nahīñ miltā hamārā
baḌī muddat se is kī dhuup jhele jā rahe haiñ
paḌegā shams par bhī ek din saaya hamārā
taḌaptī hai sisaktī hai yahāñ rah kar musalsal
ye kis kī ruuh hai jis ne badan pahnā hamārā
nishāne par dil-e-majrūh āḳhir kyuuñ hamesha
sitamgar kyā tujhe ye sar nahīñ dikhtā hamārā
banā ke rāz-e-dil har haal meñ vo shaḳhs ham ko
rakhegā yaad par charchā nahīñ hogā hamārā