itnā hai zindagī kā ta.alluq ḳhushī ke saath
ek ajnabī ho jaise kisī ajnabī ke saath
sūraj ufuq tak aate hī gahnā gayā yahāñ
kuchh tīrgī bhī baḌhtī rahī raushnī ke saath
hukkām kā sulūk vahī hai avaam se
ibn-e-ziyād kā thā jo ibn-e-alī ke saath
allāh re taġhāful-e-chāra-garān-e-vaqt
sunte haiñ dil kī baat magar be-dilī ke saath
tabqoñ meñ rañg-o-nasl ke uljhā ke rakh diyā
ye zulm aadmī ne kiyā aadmī ke saath