Bakhtiyar Ziya

rudad-e-shauq ye hai meri muKHtasar tamam

Bakhtiyar Ziya

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1922-1984
rūdād-e-shauq ye hai mirī muḳhtasar tamām
ra.anā.iyoñ meñ kho gayā zauq-e-nazar tamām
guzrā hai gul-badan koī merī talāsh meñ
mahkī huī hai aaj mirī rahguzar tamām
vo din bhī kyā the jab thī havāoñ se guftugū
ab ham se baat karte haiñ dīvār-o-dar tamām
ḳhud apnā ehtisāb gavārā nahīñ unheñ
auroñ meñ aib DhūñDte haiñ dīda-var tamām
tanhā.iyāñ nasīb kā unvān ban ga.iiñ
ek ek kar ke chhūT ga.e ham-safar tamām
hone lage haiñ merī ḳhamoshī pe tabsire
ab jaan le ke chhoḌeñge ye chāragar tamām
kyā soch kar chale the 'ziyā' rāh-e-shauq meñ
shāyad na ho sake ye safar umr-bhar tamām
Top Urdushayar.com