dard samjhe na koī dard kā darmāñ samjhe
log vahshat ko ilāj-e-ġham-e-daurāñ samjhe
dil pe kyā guzrī achānak tire aa jaane se
is nazākat ko bhalā kyā koī mehmāñ samjhe
arsh-o-kursī se pare rakhte haiñ jo lāñgah-e-fikr
manzar-e-dahr ko ham rauzan-e-zindāñ samjhe
vo bhaḌakte hue sho.ale the nasheman ke mire
duur se aap jinheñ sarv-e-charāġhāñ samjhe
yuuñ bhī hālāt se samjhauta kiyā hai aksar
dushman-e-jāñ ko bhī ham apnā nigahbāñ samjhe