hujūm-e-yās meñ jiinā bhī ik azaab huā
yahī huā ki mohabbat meñ dil ḳharāb huā
chhupā huā hai jo chehra hayā ke dāman meñ
na koī ā.īna us husn kā javāb huā
baham ulajhte rahe shaiḳh-o-barahman ab tak
jo ham uThe to zamāne meñ inqalāb huā
tumhāre hukm pe hastī miTā chuke ham to
magar hamārī vafāoñ kā kyā javāb huā
mirī navā se larazne lagā nizām-e-kohan
mirā payām 'ziyā' vaj.h-e-inqalāb huā