Bakhtiyar Ziya

na puchho wajh meri chashm-e-tar ki

Bakhtiyar Ziya

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1922-1984
na pūchho vaj.h merī chashm-e-tar kī
miyāñ phir gir ga.ī dīvār ghar kī
ye maanā dhul gayā sūraj saroñ se
mire āñgan kī dhuup ab tak na sar kī
jabīñ tar ḳhushk-lab talvoñ meñ chhāle
yahī rūdād hai apne safar kī
badī nekī izāfī mas.ale haiñ
hukūmat hai diloñ par sirf Dar kī
gumānoñ kā muqaddar hai bhaTaktā
yaqīñ ne har muhim duniyā kī sar kī
na saayā hai na shāḳhoñ meñ samar haiñ
zarūrat kyā hai ab sūkhe shajar kī
jhulastī dhuup bārish sard rāteñ
ba-har-sūrat 'ziyā' ham ne basar kī
Top Urdushayar.com