Bakhtiyar Ziya

aaj phir dasht koi aabla-pa mange hai

Bakhtiyar Ziya

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1922-1984
aaj phir dasht koī ābla-pā māñge hai
ḳhaar bhī tāzgī-e-rañg-e-hinā māñge hai
zabt-e-ġham dast-ras-e-āh-e-rasā māñge hai
ye añdherā tire aariz kī ziyā māñge hai
jāñ-dahī tishna-labī ābla-pā.ī be-sūd
dasht-e-ġhurbat to kuchh is ke bhī sivā māñge hai
phuñk rahā hai ġham-e-hastī se vajūd-e-insāñ
zindagī ab tire dāman kī havā māñge hai
aap chupke se use zahr kā piyāla de deñ
jo rivāyat se baġhāvat kā sila māñge hai
chāñd siine se lagā.e hai mirā naqsh-e-qadam
aur sūraj mirī sāñsoñ kī sadā māñge hai
Top Urdushayar.com