dilbar kahā rafīq kahā chāragar kahā
jo kuchh bhī tum ko ham ne kahā soch kar kahā
vo tum ki ham ko aaj bhī muḳhlis na kah sake
aur ham ne saarī umr tumheñ mo'atabar kahā
ye raunaqeñ jahān kī mansūb tum se kiiñ
phir un tajalliyoñ ko harīm-e-nazar kahā
pursish tirī fareb tasallī tirī fareb
vo dil kī baat thī jise duniyā kā Dar kahā
tere nuqūsh-e-pā ko batāyā hai kahkashāñ
terī galī ke zarroñ ko shams-o-qamar kahā
sab mutma.in the dekh ke āzādiyāñ mirī
mere zamīr ne mujhe be-bāl-o-par kahā
un par to koī harf na aane diyā 'ziyā'
jo guzrī us ko gardish-e-shām-o-sahar kahā