aaj mā.il-ba-karam ik but-e-ra.anā.ī hai
saarī duniyā mire dāman meñ simaT aa.ī hai
husn masrūf-e-tajalli-o-ḳhud-ārā.ī hai
vo tamāsha hī nahīñ ḳhud bhī tamāshā.ī hai
aap se pahle kahāñ ġham se shanāsā.ī thī
mil ga.e aap to har ġham se shanāsā.ī hai
is tarah dekhnā jaise mujhe dekhā hī nahīñ
ye adā aap kī ḳhud maz.har-e-yaktā.ī hai
chand kaliyāñ hī nahīñ saarā chaman apnā hai
kaun Tokegā hameñ kis kī qazā aa.ī hai
jis meñ dahke hue sho.ale kī sī tāsīr na ho
vo 'ziyā' sher nahīñ qāfiya-paimā.ī hai